Baras-baras tak ka toh maalum nahi,
pr iss pal ki sabhi chaabiyaa tumhare paas hain.
Aur main wo khilauna
jo bas ek chaabi chahta hai tumse,
taaki wo chal pade...
taaki mai chal padu.
Kudrat dhoop deti hai, baarish deti hai,
basant, patjhad sab kuch,
isi ki mehrbaniyo ke hisse hain.
Pr jab maine maangi thodi si rohani,
isne de toh di,
pr sath hi meri aankhein chheen li.
Ajeeb ittefaak hai na,
itne sare chehre hain,aawaazein hain,dost hain..
par ek shakhs ki kami puri nahi hoti.
wo shakhs jisne sikhaya tha..
ki kaise hua jata hai kisi ka.
Ab taazubb hota hai...
wo haqiqat thi yaa ab neend khuli hai.
Iss dhoop ko dekhane se yun lagta hai ki ab...
ya toh chhatt talashi jaye,
ya iski jalan me jalaa jaye.
Kabhi tumhari Zulfon ki chhanv ke guroor me..
maine iss suraj se dushmani mol le li thi.
Aaj ye mere sir pe nachata hai,
hansta hai mujh pr.
Ab kehna hi padega,
bas itni hi hai meri intaha.
ab inn dehleezon pr khade hoker..
apna mazaak nahi banaaya jata.
Unn raston pr fir nahi jaya jata,
unn darakhaton ko fir nahi dekha jata,
jo kabhi humari chaahat ke gawaah bante the.
wo raaste, wo darakhat ,
aaj bhi wahin ke wahin hain.
Bas hum hi aage nikal gaye.
Itni aage..
ki shayad ab "Vaapasi ka Rasta" bhi yaad nahi.
pr iss pal ki sabhi chaabiyaa tumhare paas hain.
Aur main wo khilauna
jo bas ek chaabi chahta hai tumse,
taaki wo chal pade...
taaki mai chal padu.
Kudrat dhoop deti hai, baarish deti hai,
basant, patjhad sab kuch,
isi ki mehrbaniyo ke hisse hain.
Pr jab maine maangi thodi si rohani,
isne de toh di,
pr sath hi meri aankhein chheen li.
Ajeeb ittefaak hai na,
itne sare chehre hain,aawaazein hain,dost hain..
par ek shakhs ki kami puri nahi hoti.
wo shakhs jisne sikhaya tha..
ki kaise hua jata hai kisi ka.
Ab taazubb hota hai...
wo haqiqat thi yaa ab neend khuli hai.
Iss dhoop ko dekhane se yun lagta hai ki ab...
ya toh chhatt talashi jaye,
ya iski jalan me jalaa jaye.
Kabhi tumhari Zulfon ki chhanv ke guroor me..
maine iss suraj se dushmani mol le li thi.
Aaj ye mere sir pe nachata hai,
hansta hai mujh pr.
Ab kehna hi padega,
bas itni hi hai meri intaha.
ab inn dehleezon pr khade hoker..
apna mazaak nahi banaaya jata.
Unn raston pr fir nahi jaya jata,
unn darakhaton ko fir nahi dekha jata,
jo kabhi humari chaahat ke gawaah bante the.
wo raaste, wo darakhat ,
aaj bhi wahin ke wahin hain.
Bas hum hi aage nikal gaye.
Itni aage..
ki shayad ab "Vaapasi ka Rasta" bhi yaad nahi.
No comments:
Post a Comment