Thursday, 15 August 2013

MAA


Meri tanhaiyon mein ab koi nahi aata,
Mere gumsum hone par bhi nahi hasaata.

Mai gungunata rehta hun aaj bhi waise hi,
Koi aakar magar awaz nahi milaata.

Koi nahi jo meri shararat samjhe,
Hasna-ruthna-manaana, ab kuch nahi bhaata.

Ek ghar ki kami khalti hai roz ke roz ,
Bura lagta hai-kyu mai dhaant nahi khaata.

Bukhaar se tapi unn raaton me Maa,
Lori kaun si thi? Wo geet kya tha?


No comments:

Post a Comment

दैत्य

  दैत्य   झुँझलाहट की कोई ख़ास वजह नहीं सुना सकूँ इतना ख़ास हादसा भी नहीं , नुचवा लिए अब ख़्वाबों के पंख नहीं यहाँ तक कि...