Shukriya! Wo jo meri gazal padte hain, meri kahani sunte hain, meri nazmo ki baat karte hain. Wo sirf apna waqt nahi dete, mujhe pehchan aur vajood bhi dete hain.
kabhi wo shakhs bankar jo mujhe mall road par tehalte-tehalte mila tha aur kaha tha ki yaar teri gazal padi, achhi lagi.
ya kabhi wo shakhs bankar jisne kaha tha yaar ek bar wo 2 lines fir se suna de jisme 'Maa' ka zikar aya tha.
yaa kabhi wo shakhs bankar jise ye yaad nahi ki jab raat ko jyada ho gyi thi toh kisne sambhala tha, par agle din ye zarur yaad tha ki wo sher kya tha jo jaam ke baare me kaha tha.
ya kabhi wo shakhs bankar jisne raat ko 12:30 baje ye kehne ke liye mujhe call ki thi ki Chaaras bas abhi-abhi tumhari kahani padi,rula diya.
ya kabhi wo shakhs bankar jisne tareef bhi ki toh meri hi kahani ki 2 lines dohra kar.
kabhi wo shakhs bankar jise shayad koi aur baat nahi mili jise hum comman topic bna sakein toh keh diya,yaar bade din ho gye tere blog mein halchal nahi hui.
ya kabhi wo shakhs bankar jise maine 3 wajah ginaayi thi ki kyu nahi likha jata mujhse ajkal aur usne 10 , ki kyu mujhe zarur likhna chahiye.
ya kabhi wo shakhs bankar jisne mujhe gift me diary sirf isiliye di kyunki usey bhrosa tha mai uss par geet-gazal zarur likhunga.
ya kabhi wo shakhs bankar jo mere facebook page par mera har status like karta hai.
ya fir chahe wo shakhs bankar jisne msg,comment karne ki zehmat sirf isliye uthaai taaki mujhe hausla de sake.
aaj socha sabko thanku bol du, kyunki mujhe bahut bahut acha lagta hai jab koi meri likhi cheezon se khud ko jodh pata hai.
Thanku. thanku so much.even you do a smallest on your part it turns out to be the biggest to me. thanx for reading and sharing my blog.
god bless you.

No comments:
Post a Comment