Saturday, 22 February 2014

HUA KUCH YUN NASHA

Hua kuch yun nasha ki raat yaad nahi,
kahan guzar gye wo lamhaat yaad nahi.
Tapkte jaam labon par kharonch chhod gye,
aise bhi hui thi ek barsaat..yaad nahi?
Pehali mulakat ka khel hai sare ka sara,
ki baad me aane wali mushkilaat yaad nahi.
dastkhat mitaane ki firaq me hi dikhti hai,
khat likhne wale use wo hath yaad nahi.
Kahin kaalikh,kahin sannaata,kahin benur 'chaaras',
kahan rakh chhodi wo neeli dawaat yaad nahi.

No comments:

Post a Comment

दैत्य

  दैत्य   झुँझलाहट की कोई ख़ास वजह नहीं सुना सकूँ इतना ख़ास हादसा भी नहीं , नुचवा लिए अब ख़्वाबों के पंख नहीं यहाँ तक कि...