Sunday, 19 January 2014

NAA KISI JASHAN MEIN



Naa kisi jashan mein gye,   
Na maatam mein shareek hue.
Hai naya-naya surur abhi,
zamaane ko tareekh hue.

Chal aaj khul kar ujaale mein bhi roya jaaye,
Beet gaya hai waqt bahut ,
muhalle me shareef hue.

Ye gila hai khud se ki main uska naa ho saka,
Vo lakeerein tak badal gya mera naseeb hue.

Yun to saath chalti hai har mod par
zindagi hi zindagi,
magar aaj talak nahi jana use itne kareeb hue.

No comments:

Post a Comment

दैत्य

  दैत्य   झुँझलाहट की कोई ख़ास वजह नहीं सुना सकूँ इतना ख़ास हादसा भी नहीं , नुचवा लिए अब ख़्वाबों के पंख नहीं यहाँ तक कि...