Saturday, 14 December 2013

FARISHTEY GUZAR RAHE HAIN

Ishaq ki gehraai thi, bin soche bin samjhe utarte chale gaye,
Chadhaiyon me bahut waqt lagta hai,hum bhi ubhar rahe hain.

Sab kuch bhula dena khud ko peeche chhod aane jaisa hai,
Meri shinaakht karne se mere apne log mukar rahe hain.

Chaahat chhod di maine sirf-au-sirf  issi darr ke chalte,
Hum jinhe chaah rahe hain, bari-bari bichhad rahe hain.

Itna kafi hota ki lapet lete mujhe ird-gird hifazat ke liye,
Puraani akhbaaro ka log yahi toh istemaal kar rahe hain.

Kahin aage hai ginti shamshano ki asliyat me meri maano,
Begunaah sadko se jyada tanhaiyon mein mar rahe hain.

Duaon ne chhod diya qabool hona , raahato ne apnana,
Suna hai ‘Chaaras’ duniya se farishtey guzar rahe hain.

No comments:

Post a Comment

दैत्य

  दैत्य   झुँझलाहट की कोई ख़ास वजह नहीं सुना सकूँ इतना ख़ास हादसा भी नहीं , नुचवा लिए अब ख़्वाबों के पंख नहीं यहाँ तक कि...