Chhod diya karna yakeen bhalaai se abke,
Sharafat-neki, humse guzar chuke kabke.
Sare-raah patthar na khaye baat aur hai,
Gulshan seench kar bhi rahe bin guldaste.
Koi paintra humse apnaya na gya muddato,
Saafgoi ke jawab mein jhuth sune sabke.
Koi daur tha laag-lapet se fasla tha koso,
Koi daur tha hum himayati the adab ke.
Kaam aana kisi ke samjhate the khushkismati,
Kaamchalaau banke reh gaye hain tabke.
Dekhna kahin gunaho ki ibadat na kar baithu,
Khot nazar aata hai ab toh neeyat me rab ke.
No comments:
Post a Comment