Sunday, 29 December 2013

RAZAAMANDI THI MERI

Razaamandi thi meri koi agar dekhta,
itni aasaani se mai ghutne nahi tekta,

dost tha wo peeth kharonchane wala,
dushman chehare pe tezaab fenkta,


daane-daane ko jalna manzoor mujhe,
wo rahe meri aag pe rotiyaan senkta,

mai utha hi nahi kabhi neend odhkar,
wajah mai nahi wo khawaab ek tha,

inaam mein nafrat bhi mai pesh karta,
ganeemat hai mai uss dauraan nek tha,

ke thaam lo jinhe baisaakhi se pehale,
chhod jate hain aksar 'chaaras' rengta.

Saturday, 14 December 2013

FARISHTEY GUZAR RAHE HAIN

Ishaq ki gehraai thi, bin soche bin samjhe utarte chale gaye,
Chadhaiyon me bahut waqt lagta hai,hum bhi ubhar rahe hain.

Sab kuch bhula dena khud ko peeche chhod aane jaisa hai,
Meri shinaakht karne se mere apne log mukar rahe hain.

Chaahat chhod di maine sirf-au-sirf  issi darr ke chalte,
Hum jinhe chaah rahe hain, bari-bari bichhad rahe hain.

Itna kafi hota ki lapet lete mujhe ird-gird hifazat ke liye,
Puraani akhbaaro ka log yahi toh istemaal kar rahe hain.

Kahin aage hai ginti shamshano ki asliyat me meri maano,
Begunaah sadko se jyada tanhaiyon mein mar rahe hain.

Duaon ne chhod diya qabool hona , raahato ne apnana,
Suna hai ‘Chaaras’ duniya se farishtey guzar rahe hain.

Wednesday, 11 December 2013

TUM



Tera chehara ab kahin toh mile,
Leharo ko kinaaro ki zamee toh mile,
Humse kai nazuk lamhe..
Kuchh aise jude,
Naa chaahkar bhi..
Jinki taraf mude,
Peechha kiya unn raahon ka….
Jinki manzil gum rhi,
Iss zindagi ka jo kuchh bhi kiya,
Sabki wajah ‘tum’ rhi.

Monday, 2 December 2013

CHHOD DIYA KARNA YAKEEN



Chhod diya karna yakeen bhalaai se abke,
Sharafat-neki, humse guzar chuke kabke.

Sare-raah patthar na khaye baat aur hai,
Gulshan seench kar bhi rahe bin guldaste.

Koi paintra humse apnaya na gya muddato,
Saafgoi ke jawab mein jhuth sune sabke.

Koi daur tha laag-lapet se fasla tha koso,
Koi daur tha hum himayati the adab ke.

Kaam aana kisi ke samjhate the khushkismati,
Kaamchalaau banke reh gaye hain tabke.

Dekhna kahin gunaho ki ibadat na kar baithu,
Khot nazar aata hai ab toh neeyat me rab ke.

Wednesday, 27 November 2013

YE TERI AANKHEIN

Ye teri aankhein hain ya mitti ka baandh koi,
Zara sa chhed dun toh bikharti jati hain.

Honthon ki muskurahtein hain ya khalihan koi,
Mere chhoone bhar se hi nikharti jati hain.

Kaise bataau ki tere lafzon ke sahaare hi,
Sainkado zindagiyan meri sanvarti jati hain.

Teri palkon ne kar li dhushmani tujh se,
Lakeerein parat-dar-parat ubharti jati hain.

Bataye deta hun aaj ki tere gumsum hone se,
maayusiyan meelon tak pasarti jati hain.

Patjhado se kinara chahiye tabhi bahaarein…
tujhse khilkhilane ki guzarishein karti jati hain.

Wednesday, 20 November 2013

WO AJNABI SA EK DOST MERA



Wo ajnabi sa ek dost mera.. kabhi kabhi dosti bhi nibha jata hai,
milne par hath milaata nahi.. bichhadne par hath hila jata hai,

wo ajnabi sa ek dost mera..

Nazar bhar bhi kabhi dekhta nahi.. kbi palkein mujh par tika jata hai,
Use pta bhi nai chalta wo anjane me hi.. kya kya mujhe sikha jata hai,

wo ajnabi sa ek dost mera..

Utni dafa mai jee uthta hu.. jitni dafa wo muskura jata hai,
Koi jake uss se seekhe.. kaise sadgi se dilo ko chhua jata hai,

wo ajnabi sa ek dost mera..

Meri aankhein dhundhti reh jati hain.. bahut kuch wo aankhon me chhupa jata hai,
Unn aankhon ka sira koi dhundhe bhi toh kaise.. pura jahan jinme sama jata hai,

wo ajnabi sa ek dost mera..

Ye bhi maan liya 'chaaras' ki har khwab.. haqiqat me dard de jata hai,
Magar..khwab khubsurt ho jb uss jitna.. toh khwab sajaane me tera kya jata hai,

wo ajnabi sa ek dost mera.. kabhi kabhi bahut apna bnn jata hai..

Wo ajnabi sa ek dost merA.
Wo ajnabi sa ek dost merA.

दैत्य

  दैत्य   झुँझलाहट की कोई ख़ास वजह नहीं सुना सकूँ इतना ख़ास हादसा भी नहीं , नुचवा लिए अब ख़्वाबों के पंख नहीं यहाँ तक कि...