Sunday, 19 January 2014

NAA KISI JASHAN MEIN



Naa kisi jashan mein gye,   
Na maatam mein shareek hue.
Hai naya-naya surur abhi,
zamaane ko tareekh hue.

Chal aaj khul kar ujaale mein bhi roya jaaye,
Beet gaya hai waqt bahut ,
muhalle me shareef hue.

Ye gila hai khud se ki main uska naa ho saka,
Vo lakeerein tak badal gya mera naseeb hue.

Yun to saath chalti hai har mod par
zindagi hi zindagi,
magar aaj talak nahi jana use itne kareeb hue.

Monday, 13 January 2014

UN PAR TARAS KHAA KAR


Unn par taras kha kar ehsaan kar diya,
Nafrat hai mujhe unse ye elaan kar diya.

Yaad toh ba-mushkil hi unhe mera naam ho,
Aaj bhul jana bhi lijiye aasaan kar diya.

Taaki koi sheesha unke ghar ka naa ho zakhmi,
Peeskar pattharo ko registaan kar diya.

Udhar rona ki unhein matlab nahi mujhse,
Idhar matlabiyon ne pareshan kar diya.

Muh ki khayega zubaan sambhaal ‘chaaras’,
Saafgoi ne jeena haraam kar diya.

Friday, 3 January 2014

THE PERFECT TIME



Growing inside
Dying outside,
It takes everything to feel alright.
Faded hopes
never let you cry,
You must sing even for a while.
It seems so unfair
at times,
When you can’t be that same old guy.
Everyday vanishes
Same way it did,
Its just how you say goodbye.
When no one cares
you’re passed or alive,
Hey!
That’s the perfect time to survive!

दैत्य

  दैत्य   झुँझलाहट की कोई ख़ास वजह नहीं सुना सकूँ इतना ख़ास हादसा भी नहीं , नुचवा लिए अब ख़्वाबों के पंख नहीं यहाँ तक कि...