1
Idhar saagar tha, samundar tha,
Jannat jaisa shehar tha.
Apnata tha,thukrata tha,
Bahut besabar tha.
‘Kadmo’ ko aaraam, ‘hosh’ ko safar tha,
Zindagi aasaan thi, jeena dubhar tha.
2
Udhar gaon tha, mera ghar tha,
Jannato se kahin badhkar tha.
Ek jhilmilati nadhi thi,
Ek chhota sa pokhar tha.
Ek kachchi sadak thi,Lakdi ka pul tha,
Bachpan ki khwahisho me,Yahi mila kar kul tha.
3
Idhar Jazbat the, jazbato par taale the,
Dil the lekin sayano ke hawaale the,
Jalsey the,roshani thi,ujaale the,
Jinke chehare haqiqat me…
behadd Kaale the.
4
Udhar geet tha, gazal thi, masoom kavvaali thi,
Seedhi-sadhi taal par lukti-chhipti taali thi,
Dhundhlako ki chaadar chirago ne….
bakhubi sambhali thi,
Wo bhi kya zindagi thi na “Chaaras”!!
Jab mausam-mausam DIWALI thi.
No comments:
Post a Comment