Kya tha agar jugnoo chamak jate,
Kuchh der aur hum bhi behak jate,
Kisi bheegi-bheegi shaam unke sang,
Nange paanv sadak-sadak jate.
Reath par unki ungaliyaan tikti bhar,
Phool kyaari bhar-bhar mehak jate.
Dekha hai falak ki narazgi me humne…
Zameen ko rooh tak tadap jate.
Gar milaa karte dard kisi se maangkar,
Hissa-hissa hum unka hadap jate.
Unhone aaj tak muskura kar nahi dekha,
Varna dekhte ‘Chaaras’ ko mar-khap jate.
No comments:
Post a Comment