Saturday, 29 November 2014
Friday, 7 November 2014
Kharonche
Syaahi udhelti laal-laal..
Kalam ho chuki kangaal.
Kya likhein?
Kya soche?
Lafzon ki jagah nazar aati hain..
Kagaz par sirf kharonche!!
Misaal kahin bhatki padi,
gaayab hua kaafiya,
gazal chhedne baitha jab..
Misra udhed kar rakh diya.
Mausiqi masoom badi 'Chaaras',
behtar hai na hi nochein!!
Lafzo ki jagah nazar aati hain..
Kagaz par sirf kharonche!
Sirf kharonche!
Kalam ho chuki kangaal.
Kya likhein?
Kya soche?
Lafzon ki jagah nazar aati hain..
Kagaz par sirf kharonche!!
Misaal kahin bhatki padi,
gaayab hua kaafiya,
gazal chhedne baitha jab..
Misra udhed kar rakh diya.
Mausiqi masoom badi 'Chaaras',
behtar hai na hi nochein!!
Lafzo ki jagah nazar aati hain..
Kagaz par sirf kharonche!
Sirf kharonche!
Friday, 3 October 2014
Mere Dost
Toh yahan khatm h kahani mere dost..
Kahin ho naa jaye badzubani mere dost.
Mehfilo se shikayat uthne lagi hai
mat chhed baat purani mere dost.
Taak me mutthi se fislne ke rehti hai
Chhatpatati hui jawani mere dost.
Gumaan me ho na gunaah 'Chaaras',
Gumraah krti h rajdhani mere dost.
Gaon me baithi maa sunti hai...
jab shehro ki preshani mere dost.
2 note jyada bhejne ki khatir deti hai
Nye suit ki qurbaani mere dost.
Kahin ho naa jaye badzubani mere dost.
Mehfilo se shikayat uthne lagi hai
mat chhed baat purani mere dost.
Taak me mutthi se fislne ke rehti hai
Chhatpatati hui jawani mere dost.
Gumaan me ho na gunaah 'Chaaras',
Gumraah krti h rajdhani mere dost.
Gaon me baithi maa sunti hai...
jab shehro ki preshani mere dost.
2 note jyada bhejne ki khatir deti hai
Nye suit ki qurbaani mere dost.
Sunday, 7 September 2014
MUMKIN HAI TOH BATA
Aaj fir padi hai haisiyat par kisi ki pehali nazar,
meri shakhsiyat se mahobbat, mumkin hai toh bata.
kamyabi ko bahut aasaan hai tahe-dil se chaah lena,
meri naakaamiyo se shiddat, mumkin hai toh bata.
wafa ki baatein jubaan par aakar rukne lagi hain,
iss umar mein sharafat, mumkin hai toh bata.
jitni guftgu utni gunjaaish gile-shikwo ki 'Chaaras',
ke kabhi naa nikle muh se galat, mumkin hai toh bata.
Monday, 23 June 2014
Thursday, 22 May 2014
UNHEIN
Laut kar aa gaye jo khat bheje hue,
Keh do unse saath UNHEIN bhi le aaye.
Jung khaa rahe alfaaz saheje hue,
UNHEIN samjah nahi inki? bade aaye!
Chaak padkar kaiyo ke kaleje hue,
Kaash hunar pighlaane ka UNHEIN,mujhe aaye.
Chhed kar baat-baat par baat ruaansi,
Fir lagaane wo gale paanv dabe aaye.
Jab-tab mera zikar UNHEIN pesh kiya,
‘Aashiq mera Chaaras’ – bolte aaye.
Monday, 14 April 2014
SHIDDAT UDAAN KI
Aazaad rakh chhodi hain baahein aasmaan ki,
fislan lubhaati beparwaah dhalaan ki,
zid pakad rahi hai shiddat udaan ki.
koi rishta jakade baitha tha,
koi kheench rha tha,
mai meech rhi thi palkein
tab koi kahan tha?
kyu naa mai hi shaamil ho jaun junoon me,
gar mujhe hi karni hai bharpaai nuksaan ki.
zid pakad rhi hai shiddat udaan ki.
khaamiyaan mujhme hai
tujhme hai
sab mein hai,
par kya kabhi tumne
haami bharne ki zehmat uthaai hai?
sab pta hai mujhe
kab-kab,kis-kis tarah tumne
baat bebaat banaai hai,
aisho-aaraam parst ho tum,
tumhein duaayein,
bas itna bata do,
kyu har baar keemat sirf maine chukaai hai?
tumhe kadwi lagengi,
zarur lagengi,
aawaaz bezubaan ki,
par mai udti hun
girti hun,uthti hu,
bolti hun,likhti hu,
tumse matlab??
huh!
chaahe jaisi bhi mai dikhti hun.
afsos tha toh nahi
lekin shukriyaa tumhara,
tumne wajah di
ye sochne ki,
ki kitna khud ko zaaya kar diya,
ki khaamkhwah kitni dafa,
kitni dafa!
apni karwatein lahuluhaan ki.
aazaad rakh chhodi hain baahein aasmaan ki,
zid pakad rhi hai shiddat udaan ki!
ab aur zarurt nahi!
shukriya!
zarurat nahi ehsaan ki,
zid pakad rhi hai shiddat udaan ki!
zid pakad rhi hai shiddat udaan ki!
Subscribe to:
Posts (Atom)
दैत्य
दैत्य झुँझलाहट की कोई ख़ास वजह नहीं सुना सकूँ इतना ख़ास हादसा भी नहीं , नुचवा लिए अब ख़्वाबों के पंख नहीं यहाँ तक कि...
-
Moksh ki baat sach maanu, yaa ekaant me khuda ko paane ki... Kyunki Mandiro me bheed hai ..aur Masjido me shor, khayal ujaagar nhi hote ki...
-
शहर की दास्ताँ को कलमबद्ध करते हैं, ये शहरवाले भी हद करते हैं.....! बच्चों को सयानेपन की हिदायत देकर, खुद बच्चों सी हरकत करते ...
-
Meri tanhaiyon mein ab koi nahi aata, Mere gumsum hone par bhi nahi hasaata. Mai gungunata rehta hun aaj bhi waise hi, Koi aaka...






