Friday, 13 September 2013

USKI YAAD MEIN



·         Yun toh chala gaya wo jane wala,
Magar aaj bhi wahi hai rulane wala.

·         Uske sath guzaara wo ek bauna sa din,
 Hai meri zindagi ka sabse salona sa din.

·         Meri gazlon ko aadat hai chup rehne ki,
Keh pate kaash! Wo baat kehne ki.

·         chaahat ko dard ka hawaala de do,
Iss dil ko zism nikaala de do.

·         Kuch-ek pal ko hi sahi, silsiley zara toh thamein,
Zakhmo ko humne nahi, zakhmo ne paya humein.

·         Aaj uski yaad me roya jayega,
Uska diya rumaal hi bhigoya jayega.

Sunday, 8 September 2013

HUM TOH HAAR CHUKE



Yahan par kisi se uska haal puchhna,
uski zindagi me dakhal kehte hain.
Shor machata hai shehar betahasha,
aur baat karne walo ko paagal kehte hain.

Intazar ka hunar kisi-kisi ko milta hai… Par mauka sabhi ko,
Baat sabne ansuni kar di magar humne bhi toka sabhi ko,

Jazbaton ko saans na lene dena..
Beshaq isey bhi Qtal kehte hain.
Yahan par kisi se uska haal puchhna..
uski zindagi me dakhal kehte hain.

Zindagi aur maut me fark karna… akkal nahi nadani hai,
Jo jeet gye unke mukaddar me.. abhi bahut pareshani hai,

Hum toh haar chuke ‘Chaaras',
Ab baith kar gazal kehte hai.
Yahan par kisi se uska haal puchhna,
uski zindagi me dakhal kehte hain.


Wednesday, 4 September 2013

TOH KYA HOGA



Kabhi pyar jataayein bhi toh kya hoga,
Kisi ko yaad aayein bhi toh kya hoga.

Kyu karte ho sawal humari khamoshi se,
Hum tut jaayein bhi toh kya hoga.

Aankhein sath nahi deti kya karein,
Honth muskurayein bhi toh kya hoga.

Ehtiyatan odhi hain deewarein unhone,
Hum parde jalaayein bhi toh kya hoga.

Badi dur nikal chuke kadam ‘Chaaras’,
Ab laut kar aayein bhi toh kya hoga.

Tuesday, 3 September 2013

KAISE CHAL DIYE


Kaise chal diye besahara karke,
Meri yaadon se yun kinara karke.

Jee lenge jaise-taise tere bagair lekin,
Kya milega mehaz guzara karke.

Kaise so pate ho chain se raato ko,
Tum neendein kisi ki awara karke.

Itna chaahkar bhi jab koi milta na ho,
Kya fayda “Chaaras” Ishq dobara karke.

दैत्य

  दैत्य   झुँझलाहट की कोई ख़ास वजह नहीं सुना सकूँ इतना ख़ास हादसा भी नहीं , नुचवा लिए अब ख़्वाबों के पंख नहीं यहाँ तक कि...