Monday, 23 September 2013

KHWAB HAI KOI



Khwab hai koi jise sach ki nazar chahiye,
Hume simtne ke liye sari umar chahaiye.

Bewafai aasaan hai saans lene jitni,
Wafa ke kiye… mitne ka jigar chahiye.

Din hai iss asar me ki chot khayenge,
Charagar raat, raat bhar chahiye.

Wo kehne lagi mujhe aankh me sahej le,
Khwab ki aadh me use basar chahiye.

Fir ek din chhitak kar dur ja giri,
Aansuon ko sambhalne ka hunar chahiye.

Gale lgayega wahi khwab tujhe  ‘Chaaras’
Zindagi ko thodi aur kasar chahiye.

PYAR NIBHAANE AAJAO




Tamaan uljhano se nijaat dilaane aajao,
apni hatheli meri hatheli se milaane aajao,

Waqt kabse wahin par thehra hai..
bebsi ka rang bahut hi gehra hai..
mere daaman me koi lamha giraane aajao,
apne kisi rang me mujhko sajaane aajao.

laakh koshisho se bhi kuch na haasil kiya..
jane kaise kaise karke ab tak hun jiya..
hasaane na sahi..  rulaane aajao,
koi maayoos geet hi gungunaane aajao.

Raat hoti hai toh yaad gehraati hai..
khyalo mein teri tasveer banaati hai..
kisi khamosh raat mere sirhaane aajao,
chain ki neend meri rooh ko sulaane aajao.

Dhal chuki hain ummeedein kahin..
jaan ganwa naa dun mai kahin..
koi ummeed jagaane aajao,
meri jaan bachaane aajao,

Aaj tumko kasam di..
maine mere PyAr ki..
ye Pyar nibhaane aajao,,,

Ye Pyar nibhaane aajao.
Aajao.

Friday, 13 September 2013

USKI YAAD MEIN



·         Yun toh chala gaya wo jane wala,
Magar aaj bhi wahi hai rulane wala.

·         Uske sath guzaara wo ek bauna sa din,
 Hai meri zindagi ka sabse salona sa din.

·         Meri gazlon ko aadat hai chup rehne ki,
Keh pate kaash! Wo baat kehne ki.

·         chaahat ko dard ka hawaala de do,
Iss dil ko zism nikaala de do.

·         Kuch-ek pal ko hi sahi, silsiley zara toh thamein,
Zakhmo ko humne nahi, zakhmo ne paya humein.

·         Aaj uski yaad me roya jayega,
Uska diya rumaal hi bhigoya jayega.

दैत्य

  दैत्य   झुँझलाहट की कोई ख़ास वजह नहीं सुना सकूँ इतना ख़ास हादसा भी नहीं , नुचवा लिए अब ख़्वाबों के पंख नहीं यहाँ तक कि...